Aaise logo ke liye apni feelings ko control karo, effort karna band karo unke agey rona girgirana band kardo,
Jo log aapse baat karey bagair khush hai, jinhein fark nhi parta chahey aap se baat ho chahe na ho,jo hafto guzar jaye aur palat k eek message bhi nhi karte apko. Tum apni feelings se baar baar kamzor nhi padh sakte, apni feelings ko apni kamzori mat banao, yahi feelings tumhe sahi or ghalat may pehchan karne swe rokti hai,sahi faisla lene se rokti hai, or tumhari suffering bhi badhti hai.agar kuch ghalat ho raha hai or allah tumhr baar baar signs bhej rha hai to unhein nazarandaaz krna band karo ye baat tum khud bhi jaante ho,hum zaroor kisi insaan ke sath ek rishta shuru krte hai pr halat jab had se zyada bigad jaye or wo rishte hamari zindagi may zeher gholne ke alawa kuch or na kr rhe ho toh unhi rishto ko khtm bhi krna parta hai. Sach hamesha kadwa hota hai,par sach to sach hai na chah ke bhi vishwas karna parta hai..Sunday, September 4, 2022
Subscribe to:
Posts (Atom)
